CorelDraw ek vector graphic editing software hai Jis ko Ottawa, Canada ki ek company Corel Corporation ne develop kya hai. Is ko Corel Graphic Suite bhi kaha jata hai Jis ka latest version X6 hai jo march 2012 me release kya gya tha. Aaj kal coreldraw k help se different application, visiting card, wedding card, ceremony card, book title, CD cover, flex, certificate or isi tarha ki bohut si graphics create ki jati han.
Corel Draw me apni marzi ki dpi par koi bhi graphic create ki ja sakti hai, like; Visiting card, Letterhead, printing press data, flex colouring etc. Isi tarha is me different tools ki complex inside or outside drawing bhi ki ja sakti hai, Is application ka sub se big advantage ye hai k vector graphic create hoti han, Jis me zoom karny se bhi pixel demage nai hoty.
Adobe Photoshop, Adobe Illustrator or Coreldraw seekh kar aap bhi graphic designer ban sakty han So You Can Watch Free Video tutorials in Urdu & Hindi to create new vector graphics using CorelDraw X4.